Friday, 22 April 2011

NAA JAANE AB VO KAISI HOGI


Kaafi arsaa beet gaya
Naa  Jane ab vo kaisi hogi.
Raato se  karti thi baaten
Baaton me, sundar  geet samate
Raaton se milna choot gaya
Ab kisse baaten karti hogi.
         Khusiyon ka  chaata toot gaya
Gham ki baarish me rehti thi
Saavan bhaadav sab  gaye beet .
Kya, ab bhi  baarish ko sahti  hogi.
   Yaadon ki us fulvaari me
Harpal bhavre pe vo marti thi
Meri yaaden kuch bachi ho to
 Yaad mujhe bhi vo karti hogi
  pyaar ka daaman choota tha usse
  khuda ko harpal kosa tha tabse
 jo lautkar vo aagaya kabhi.
Kya khuda ko mudkar dekha hoga.
Bhool se  bhool na paata usko.
Har ek  yaad satati mujhko.
Takdir k panno ko kholkar
Jo USNE kabhi to dekha hota
Hote aaj bhi saath me ham.
Aur mai iss kavita ko kabhi naa likh raha hota

Kaafi arsaa beet gaya
Naa Jaane ab vo kaisi hogi.
Naa jane ab vo kaisi hogi





3 comments: